kyun na hun hairan teri har baat ka husn muraqqa hai tilismat ka roun to khush ho ke piye hai wo mai samjhe hai mausam ise barsat ka uthti jawani jo hai to din-ba-din aur hi aalam hai kuchh is gat ka ghar mein bulaya hai to kuchh munh se do sikho ye dhab hum se mudaraat ka shaikh jawan hoga tu pi dekh ise shishe mein pani hai karamat ka hum na milen tum se to nikle hai jaan aur tumhein aalam hai musawat ka us ne ki ab kam-sukhani ikhtiyar jis ko maza tha meri har baat ka aankh bhi milti hai to na-ashna ab wo kahan lutf ishaaraat ka rone ki ja hai sun ise ham-nashin tu to hai mahram mere auqat ka hukm hua raat ko aao na yan din ko rakho taur mulaqat ka dil ke atakte hi hua hai sitam farq mulaqat mein din raat ka baat nai sujhe hai 'jurat' tujhe main to hun aashiq teri is baat ka