sarir-e-KHama se tashrih-e-sirr-e-zi hogi

sarir-e-khama se tashrih-e-sirr-e-zi hogi
faza-e-sher mein iqlim-e-agahi hogi

jise karam se tere bakht-e-na-rasa na mila
use nasib haqiqat mein kya khushi hogi

faza-e-tira ki uqda-kusha hai jo tanwir
khulus-e-dil ki wo pur-kar sadgi hogi

riyaz-e-mani ki jis se faza hai rakhshanda
alam-nasib ke dil ki wo shaeri hogi

haram ke khak-nashinon se be-adab ijad
wufur-e-dard se paida qalandari hogi

lahu se dil ke charaghan karo khuda-khana
tadap jo ruh mein hogi to bandagi hogi

harim-e-naz ko surat-parast kya jaane
ada-shanas faqat dil ki be-khudi hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close