tez hawa ke jhonke shab-bhar takraate hain pedon se kitne patte aansu ban kar girte hain in shakhon se main bhi tanha baithi teri soch mein dubi rahti hun tum bhi baaten karte hoge apne milne walon se kirnen bistar tak aati hain tute khwab uthane ko andar ke dukh kab chhupte hain in khidki ke pardon se diwaron se uktaun to dhyan batana padta hai khush hoti hun baaten kar ke gali mein khelte bachchon se almari ke ek khane mein yaad kisi ki rakkhi aur us ki chabi latka di hai aati-jati sanson se jaane wale jaise jate hain waise kab aate hain aankhen viran ho jati hain baaten karti raston se tez hawa se takrane mein ek hunar tha kashti ka log tamasha dekh rahe the baithe dur kinaron se ab to us se mil kar dekhungi wo kaisa lagta hai phulon si khushbu aati hai 'jaanan' jis ki baaton se