kuchh na kuchh ishq ki tasir ka iqrar to hai us ka ilzam-e-taghaful pe kuchh inkar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-dar to hai tera diwana kisi kaam mein hushyar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tere mushtaq-e-jamal khair didar na ho hasrat-e-didar to hai marke sar hon usi barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwar to hai sar patakne ko patakta hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayal-e-dar-o-diwar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kar gaya na sahi jaur magar jaur ka iqrar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kahne ki khair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is mein bhi rabta-e-khas ki milti hai jhalak khair iqrar-e-mohabbat na ho inkar to hai kyun jhapak jati hai rah rah ke teri barq-e-nigah ye jhijak kis liye ek kushta-e-didar to hai kai unwan hain mamnun-e-karam karne ke ishq mein kuchh na sahi zindagi be-kar to hai sahar-o-sham sar-e-anjuman-e-naz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkar to hai chaunk uthte hain 'firaq' aate hi us shokh ka nam kuchh sarasimgi-e-ishq ka iqrar to hai