shikayaten na zamin se na aasman se hain ki ek umr se hum log be-zaban se hain na ho jo shahar ki manind bud-o-bash nahin yahi bahut hai ki sahra mein hum aman se hain meri tarah hadaf-e-ahd be-yaqini hain khud apne-ap se jo log bad-guman se hain ajib hain tere kuche mein basne wale bhi zamin pe rahte hain wabasta aasman se hain visal-o-hijr ki ye tohmaten sahen kab tak hum ahl-e-ishq ki bezar apni jaan se hain ye moajiza bhi ajab hai tere talluq ka jo log dushman-e-jaan the wo mehrban se hain suluk-e-ahl-e-jahan dil pe naqsh hai 'khawar' jahan the zakhm wahan aaj bhi nishan se hain