kuchh na pai dil ne taskin aur kuchh pai to kya

kuchh na pai dil ne taskin aur kuchh pai to kya
aisi surat se teri surat nazar aai to kya

ek dushman ke kahe par naz wo bhi is qadar
apne matlab ko kisi ne aap ki gai to kya

hosh aana tha ki wo khase sitamgar ban gae
hae ri qismat ki un ko aql bhi aai to kya

o jafa-pesha shagufta khatiri hai aur shai
yun hansi aane ko rone mein hansi aai to kya

aap apne dil se puchhen aap hi sochen zara
meri aahon mein agar tasir bhi aai to kya

mere lashe par agar tashrif bhi lae to hech
baad mere un ko meri yaad bhi aai to kya

apni aadat se wo baz aa jaen mumkin hi nahin
kahne-sunne se ghadi-bhar ko haya aai to kya

kuchh na kuchh aghyar ne patti padhai hai zarur
tum ne khane ko mere sar ki qasam khai to kya

tha jo kuchh taqdir ka hona wo ho kar hi raha
karne walon ne jo ki bhi chaara-farmai to kya

be-wafaon mein to kuchh ginti nahin teri tarah
hum ko kahti hai agar makhluq saudai to kya

ai safi' tark-e-talluq kar ke itraate ho kyun
umr-bhar mein ye hui hai tum se danai to kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close