kuchh nahin likkha hua phir bhi padha jata hai kya aisi na-maujud ko duniya kaha jata hai kya ham-sukhan tere mukhatab ka pata kaise karun bolna tha kya tujhe aur bolta jata hai kya ek darwaza aur andar dur tak koi nahin aate jate jhank lene se tera jata hai kya is andhere mein pade ek shakhs ko dekha kabhi panw se takrae to banhon mein aa jata hai kya hum idhar hain hashr utha dete hain jab uthti hai lahr tum udhar ho hath utha do sab suna jata hai kya main ki tera tisra gham hun so ye gham bhi to kar tu ki bas hone na hone par mara jata hai kya