kuchh nazar aata nahin hai wo ujala kar diya

kuchh nazar aata nahin hai wo ujala kar diya
sab hi apna aap bhule wo tamasha kar diya

kan bhi padti nahin hai ab to aawaz-e-zamir
khokhle zehnon ne itna shor barpa kar diya

hath khali hain hamare aur kuchh rabb-e-jalil
tu ne jo kuchh bhi likha tha hum ne pura kar diya

masale jaise chatanen rahnuma jaise hawa
waqt ne kitne falak-boson ko bauna kar diya

chunta phirta hun main apne-ap wahi raat din
zindagi ne yun bikhera reza reza kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close