mujhe rifaton ka khumar tha so nahin raha tere doston mein shumar tha so nahin raha jise ab samajhte ho bar dida-o-jaan pe kabhi rah-e-manzil-e-yar tha so nahin raha teri yaad bhi teri yaad thi so chali gai tera gham hi mera qarar tha so nahin raha rah-e-dosti ke musafiro zara dekh kar isi rah ka main bhi sawar tha so nahin raha wo jo puchhte hain 'naim' ka use kya hua unhen kah do un pe nisar tha so nahin raha