yun bhi ek bazm-e-sada hum ne sajai pahron kan bajte rahe aawaz na aai pahron ek tera nam tha ubhra jo fasil-e-lab par warna sakte mein rahi sari khudai pahron lamha-bhar ke liye barsi teri yaadon ki ghata hum ne bhigi hui chilman na uthai pahron wo to phir ghair tha ghairon se shikayat kya ho nabz apni bhi mere hath na aai pahron aankh jhapki to rawan thi wo hawa ke rukh par hum ne jo ret ki diwar banai pahron par samete hue yun chupke se lamha guzra shab ki dahliz pe di hum ne duhai pahron laut kar aae na bhatke hue rahi dil mein aag is dasht mein hum ne to jalai pahron phir bhi le de ke wahi rog purana nikla hum ne modi hai khayalon ki kalai pahron wo hayule the ki sae the sar-e-raqs 'rashid' jism ki ek bhi jhankar na aai pahron