kuchh sarguzisht kah na sake ru-ba-ru qalam gardish-nasib roz-e-azal se hai tu qalam kaghaz ka tao kya hai tere ru-ba-ru qalam aisa hi yani pir ka neza hai tu qalam zalim nahin tu harf-e-mohabbat se aashna mashq-e-sitam se sharm kar ai jang-ju qalam kya khama likh sake sifat-e-zulf-e-mushk-bar shore ke bhi hue hain kahin mushk-bu qalam nama par-e-huma ho mera ai shah-e-butan likho gar ustukhan se bana kar kabhu qalam qatil ko main ne khat nahin shanjarf se likha kis wajh se hua hai tu ab surkh-ru qalam yani ki us ke ishq mein is dam mila hai yan munh se lahu laga ke shahidon mein tu qalam likh aur ek ghazal ki shagufta zamin hai le kar 'nasir' ab ye lab-e-abju qalam