wahid parast ishq-ba-daman bana diya kafir nazar ne hum ko musalman bana diya ghunche ko gul to gul ko gulistan bana diya zarre ko tu ne mehr-e-darakhshan bana diya hum the faqat farishta hi banne pe mutmain ye hai khuda ki den ki insan bana diya dil de ke dil ko lazzat-e-gham de zahe nasib khud dard hi ko dard ka darman bana diya allah junun-e-ishq ki mojiz-numaiyan iman ko kufr kufr ko iman bana diya kis ne samet kar gham-e-kaunain ko 'sahar' dil ko rahin-e-sozish-e-pinhan bana diya