kuchh shikwe-gile hote kuchh taish siwa hota qismat mein na milna tha milte bhi to kya hota jate to qalaq hota aate to khafa hote hum jate to kya hota wo aate to kya hota shikwon ka gila kya hai insaf to kar zalim kya kuchh na kiya hota gar tu meri ja hota gar sulh thahar jati sau fitne uthe hote achchha hai na milna hi milte to bura hota socho to 'zahir' aakhir wo jaur to karta hai main us se gila kar ke mahrum-e-jafa hota