riwaq-e-kahkashan se bhi ho aage tak guzar tera ki tera ishq hai manzil teri azm-e-safar tera ramida wusaten hun tundi-e-raftar se teri bari ho tangi-e-afkar se aahu-e-sar tera zamana thahar kar puchhe teri raftar-o-surat se mujhe bhi sath leta chal irada hai kidhar tera hayat mukhtasar aur be-karani sail-e-imkan ki raqam hoga sar-e-aflak qissa mo'atabar tera kisi bahr-e-muhit-e-be-karan ki aarzu mein hai ye tufanon ki maujon mein sanwarne ka hunar tera miyan-e-ab-o-gil ek barq hai shoala hai shabnam hai ye dil ye qatra-e-khun ye wajud-e-mukhtasar tera tadap ki justuju ki rah mein ye bhi ibaadat hai teri har aah-e-sozan hai pyam-e-pur-asar tera musafir hai masafat ka sila hai aabla-pai bhala kab sath chhodegi ye gardish umr-bhar tera jalan aankhon mein sukhe lab ghubar-e-zindagi rukh par thakan ki dastan kahta hai huliya sar-ba-sar tera kabhi rakh kar kisi zanu pe sar aaram bhi kar li ghani hai chhanw kyun khulta nahin band kamar tera charagh-e-arzu ki lau bhadakne de abhi 'farhat' wahi tanha shab-e-furqat mein hoga ham-safar tera