lahu pukar ke chup hai zamin bolti hai main jhumta hun ki ye kaenat dolti hai abhi zamin pe utregi us dariche se wo raushni jo musafir ki rah kholti hai maza to ye hai ki wo zahr mein bujhi aawaz kabhi kabhi mere kanon mein shahd gholti hai ajib rabt hai gungi rafaqaton se mujhe wo sochta hai to meri zaban bolti hai talash mein hun tawazun kahin nahin milta har ek chehra ko meri nigah taulti hai jo be-udan hain 'alam' wo kis shumar mein hain hawa bhi udte parinde ke par tatolti hai