wo safai kabhi jo hum se mulaqat mein thi saf kul sakhtagi us ki har ek baat mein thi jo bhali aa ke kahi sehr hai samjha na use kal buri jo kahi dakhil wo karamat mein thi hai dil-e-ghair ko us nawak-e-mizhgan se ab uns jo ki nit apne jigar-doziyon ke ghat mein thi sunte hain ghair se wo baat ba-awaz-e-buland kya qayamat hai ki jo hum se ishaaraat mein thi kya ghazab hai wahi aaina-pan ab lakh se hai jo safai kabhi hum se kisi auqat mein thi koi hajat nahin ab ghair ki jo ho na rawa ye to aage na mere qibla-e-hajat mein thi itna juya-e-mulaqat na hota tha 'lutf' shakl nibhne ki jo kuchh thi so musawat mein thi