lutne ko to gham-e-dahr ne luta ab tak main wo shisha hun ki patthar se na tuta ab tak zahr deti rahi har gam pe duniya mujh ko daman-e-zist to hathon se na chhuta ab tak un se mil aaya magar soch raha hun ab bhi naghma kyon bikhra hai kyon saz hai tuta ab tak kya kiya tum ne jo is tarah khajil hote ho mera ehsas tha jis ne mujhe luta ab tak dasht-e-pur-khar hai kahte hain ye duniya jis ko aabla dil ka magar phir bhi na phuta ab tak rah to rah hai manzil bhi chhuti hai pichhe gardish-e-waqt tera sath na chhuta ab tak mauj-o-girdab se shikwa to nahin koi 'saba' mujh ko be-mehri-e-sahil ne hi luta ab tak