lutf-e-aghaz mila lazzat-e-anjam ke baad hausla dil ka badha koshish-e-nakaam ke baad ab khuda jaane tujhe bhi hai talluq ki nahin log lete hain mera nam tere nam ke baad mai-kada tha to wahin roz chala jata tha ab kahan koi thikana hai mera sham ke baad koi aaya hi nahin ku-e-wafa tak warna kuchh bhi mushkil nahin ye rah do ek gam ke baad ek do ghunt bahut talkh hai mai ki lekin lutf aaega tujhe shaikh do ek jam ke baad waqt katta raha katti rahin rahen lekin hum ne mud mud ke tumhein dekha har ek gam ke baad kuchh to saqi se gila hoga 'hasan' ko warna kaun mai-khane se uthta hai do ek jam ke baad