ye bala dil pe kab aai mujhe malum nahin dard ab kaisa hai bhai mujhe malum nahin apne jalne ka hamesha se tamashai hun aag ye kis ne lagai mujhe malum nahin haalat-e-hijr mein hun ye to khabar hai mujh ko par ye kis ki hai judai mujhe malum nahin han bahut dur bahut dur wo rahta hai kahin kaise deta hai dikhai mujhe malum nahin jism se mere ab us ki hi mahak aati hai kab wo yun mujh mein samai mujhe malum nahin aati jati hai wo ab sans ki surat mujh mein kab gai aur kab aai mujhe malum nahin main to kah aaya khamoshi ki zaban se sab kuchh kya diya us ko sunai mujhe malum nahin muddat-e-qaid ka ikhfa hai yahan ka dastur yani kab hogi rihai mujhe malum nahin