main banane baiThta hun kuchh to ban jata hai kuchh

main banane baithta hun kuchh to ban jata hai kuchh
kar-e-khilqat mein kabhi hota bhala aisa hai kuchh

roz-e-mahshar ai khuda is baat ka rakhna khayal
main ne duniya mein teri boya tha kuchh kata hai kuchh

nur-e-agahi ki gahrai abhi puchho nahin
dam-e-mahiyat mein ye insan abhi uljha hai kuchh

aaj phir se koi aashiq ramz-e-irfan pa gaya
aaj phir se mahfil-e-khuban mein sannata hai kuchh

aatish-e-ulfat mein jalne ka maza lene to de
rakh meri mat uda mujh ko abhi jalna hai kuchh

jaan nikalne ki dua do mujh ko marne ki nahin
jaan nikalna aur kuchh hai aur mar jaana hai kuchh

yaad karte ho bahut tanhai mein ab bhi mujhe
man bhi jao tumhaara aur mera rishta hai kuchh

khair ho qasid teri kya khub hai aamad ka waqt
aa pahunchta hai tu tab jab zakhm-e-dil bharta hai kuchh

bas yahi kah denge gar puchha gaya hum se sawal
dil ke arman ko kabhi kuchla hai kuchh pala hai kuchh

kyon bhala 'mansur' ki takhliq mein aae kamal
us ki niyyat mein hai kuchh kahta hai kuchh karta hai kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close