mohabbat ki ek raat yaad aa rahi hai wo pahli mulaqat yaad aa rahi hai jo kahta hun main is ko shikwa na samjho suno baat par baat yaad aa rahi hai wo dilkash tabassum se labbaik kahna wo khatir mudaraat yaad aa rahi hai bhulane ki koshish main karta hun jin ko mujhe un ki din raat yaad aa rahi hai