lutf ka dije sabaq husn-e-gharib-azar ko phenkiye khanjar ko rakhiye hath se talwar ko ab ye tufan-e-musibat kam na hoga hashr tak nabz dubegi duba kar aap ke bimar ko mai-kada hai wusat-abaadi-e-alam ka raaz qatre mein dariya nazar aata hai har mai-khwar ko ai mujahid jehd-e-rang-e-khaksari hai zarur todna lazim hai pahle is but-e-pindar ko han meri diwangi begana-e-kulfat nahin aablon ne rakh liya hai dil mein nok-e-khar ko apni hadd-e-akhiri par ilm ban jata hai jehl be-khudi lazim hai ai dil hasrat-e-didar ko hai sukun-e-qalb-e-muztar shahid-e-taskin-e-dard kyon na ho ummid sehat ki tere bimar ko ye bhi ek eajaz tha 'masud' husn-e-dost ka dekhte hi dekhte hosh aa gaya bimar ko