kufr se ye jo munawwar meri peshani hai zahir is se bhi mera jazba-e-imani hai ye jo yaksui mayassar hai mujhe sham o sahar sar-ba-sar mere liye wajh-e-pareshani hai is kinare pe faqat main hun akela khali nahr ke dusri jaanib meri hairani hai khak udti hai to har-su mere andar warna jis taraf main hun wahan chaaron taraf pani hai jo siyah-fam hai andar ki taraf se jitna us ke chehre pe yahan utni hi tabani hai mausamon se abhi mayus nahin hun yaksar ek hawa hai jo abhi meri taraf aani hai dil mein kya surat-e-haalat hai khulta nahin kuchh kya kami hai yahan kis shai ki farawani hai ye ajab tarha ka bazar-e-sukhan hai ki jahan main hi nayab hun aur meri hi arzani hai aazmaish mein hi rakhta hun sada khud ko 'zafar' meri mushkil hi sarasar meri aasani hai