kulal-e-gardun agar jahan mein jo khak meri ka jam karta to main sanam ke labon se mil kar ajab hi aish-e-mudam karta jo pata lazzat bisan-e-mastan mai-e-mohabbat se teri zahid to khanqa se nikal ke apni wo mai-kade mein qayam karta wo bazm apni thi mai-kashi ki farishte ho jate mast-o-be-khud jo shaikh ji wan se bach ke aate to phir main un ko salam karta jo zulfen mukhde pe khol deta sanam hamara to phir ye gardun na din dikhata na shab batata na subh lata na sham karta wo bazm apni thi mai-khori ki farishte ho jate mast-o-be-khud jo shaikh ji bach ke wan se aate to main phir un ko salam karta 'nazir' aakhir ko haar kar main gali mein us ki gaya tha bikne tamasha hota jo mujh ko le kar wo shokh apna ghulam karta