panw ka dhyan to hai rah ka dar koi nahin mujh ko lagta hai mera zad-e-safar koi nahin baz auqat to main khud pe bahut chikhta hun chikhta hun ki udhar jao jidhar koi nahin sar pe diwar ka saya bhi udasi hai mujhe zahiran aisi udasi ka asar koi nahin aakhiri bar mujhe khinch ke sine se laga aur phir dekh mujhe maut ka dar koi nahin khud-kushi karte samay puchhta hun mera aziz aur aawaz si aati hai to mera koi nahin bhari duniya hai sisakne mein jhijak hogi tumhein ye mera dil hai idhar ro lo idhar koi nahin ek din log mujhe takht-nashin dekhenge ya ye dekhenge mera jism hai sar koi nahin us ki hijrat bada aasab-shikan saneha thi shahr to shahar hai jangal mein shajar koi nahin subh se raat ki mayusi bhagane ka sabab koi to hota mere dost magar koi nahin be-khayali si mujhe god mein bhar leti hai dar pe dastak ho to kah deta hun ghar koi nahin