kunj-e-ghazal na qais ka virana chahiye jo gham mujhe hai us ko aza-khana chahiye hai jis ka intizar palak se falak talak ab aana chahiye use aa jaana chahiye ya-rab mere libas se hargiz guman na ho lekin mujhe mizaj-e-faqirana chahiye milti nahin hai naw to darwesh ki tarah khud mein utar ke par utar jaana chahiye ai dost! mujh se ishq ki yaksaniyat na puchh tu bhi kabhi kabhi mujhe begana chahiye