kyun naseha udhar ko na munh kar ke soiye

kyun naseha udhar ko na munh kar ke soiye
dil to kahe hai sath hi dilbar ke soiye

ghabra ke us ka kahna wo hae shab-e-visal
bas bas zara ab aap to hat kar ke soiye

main aap se khafa hun ki tum ruthe ho pade
bohtan mere sar pe na yun dhar ke soiye

sote mein bhi jo dekhiye to chaunk hi uthe
kis tarah sath aise sitamgar ke soiye

tum lutf-e-nashsha dekho zara tum ko dekhen hum
kya lutf hai ki lete hi saghar ke soiye

mashhur hai ki suli pe bhi nind aati hai
ya-rab shab-e-firaq mein kyunkar ke soiye

takiya to aap sar ke tale roz rakhte hain
ab hath mere rakh ke tale sar ke soiye

wo muskura rahe ho lo wo aankh khul gai
yun kaun manta hai ki jag kar ke soiye

pas-e-adu to dekho hamein hukm hai 'nizam'
shab ko kahen na pas mere ghar ke soiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close