kunj-e-qafas se pahle ghar apna kahan na tha aae yahan to hausla-e-ashiyan na tha tujh ko samajh ke khwab mein pahuncha main jis jagah dekha jo aankh khol ke to kuchh wahan na tha ek ek qadam pe ab to qayamat ki dhum hai aage to ye chalan kabhi ai jaan-e-jaan na tha thahri jo wasl ki to hui subh sham se but mehrban hue to khuda mehrban na tha kyunkar qasam pe aaj mujhe e'tibar aae kis din khuda tumhaare mere darmiyan na tha toda jo phul bulbul-e-shaida ke samne kya tere dil mein dard kuchh ai baghban na tha