sina-e-pur-soz yaksu chashm-e-giryan yak taraf dil bache kya yak taraf aatish hai tufan yak taraf dam sabze ke se bachna tair-e-dil hai muhaal sabza-e-khat yak taraf zulf-e-pareshan yak taraf mustaid hain us but-e-tannaz par bahr-e-nisar yak taraf sabr-o-dil-o-din jaan-o-iman yak taraf kis pe shab-khun marne kun ki saf-ara fauj-e-naz yak taraf syahi misi ki surkhi-e-pan yak taraf phir bahaar aai jo baham mustaidd-e-jang hain yak taraf dast-e-junun jaib-o-gareban yak taraf tuk sama kar ai 'jahandar' aaj us kuche mein ja tegh-bar-kaf hai wo yaksu aur raqiban yak taraf