kursi-e-dil pe tere jate hi dard aa baithe jaise aaina-e-be-kar pe gard aa baithe pahli manzil pe hi takra ke gire duniya se panw tudwa ke tamam ahl-e-naward aa baithe dawat-e-did jo us qamat-e-rangin ki mili bazm mein hum bhi liye ye rukh-e-zard aa baithe aurten kaam pe nikli thin badan ghar rakh kar jism khali jo nazar aae to mard aa baithe shahr ek samt se jangal sa nazar aane laga shahr ke dil mein bhi kya dasht-naward aa baithe 'farhat-ehsas' ki tazim mein uttha tha samaj aur wo us ki jagah surat-e-fard aa baithe