sabt hai chehron pe chup ban mein andhera ho chuka dekhne aae ho kya logo tamasha ho chuka aabru ke surkh moti phir se kale pad gae jism ke andar lahu ka rang pila ho chuka hasraton ke ped sab ke sar se unche ho gae aarzu ka zakhm pahle se bhi gahra ho chuka phir mujhe nadidani zanjir pahnai gai ilm tak mujh ko nahin aur mera sauda ho chuka bar-sar-e-paikar apne-ap se hun kya karun mera dushman bhi meri mitti se paida ho chuka kaise tute hain dilon ke bahami rishte na puchh hai nagar aabaad aur har shakhs tanha ho chuka tum kahe jate ho aisi fasl-e-gul aai nahin aur agar main ye kahun sau bar aisa ho chuka kaun hun main apni surat bhi na pahchani gai aaina takte hue mujh ko zamana ho chuka dekhna ye hai ki us ke mawara kya chiz hai ye umid-o-bim ka daftar purana ho chuka kab talak dil mein jagah doge hawa ke khauf ko baadban kholo ki mausam ka ishaara ho chuka ab zaban se bhi kaho 'shahzad' kyun khamosh ho dil mein jo kuchh tha wo aankhon se huwaida ho chuka