kuza jaise ki chhalak jae hai bhar jaane par

kuza jaise ki chhalak jae hai bhar jaane par
koi aansu hi baha de mere mar jaane par

kaam aaya nahin mera tah-e-dariya hona
pichhle sahil se bhi nakaam ubhar jaane par

hai khabar jhuti magar phir bhi khabar bheji jae
kya khabar koi yaqin kar le khabar jaane par

koh-e-dil koi bhi lamha kabhi khali na raha
ek virani rahi gham ke utar jaane par

bujh gaya waqt se pahle jo diya wo main hun
khush nahin hoti hawa mere thahar jaane par

tod kar mujh ko kisi dil ko sukun aata hai
aur simtega koi khak bikhar jaane par

ya to yun ho ke kabhi waqt pe kaam aa jae
kaam 'amrit' ka nahin dard guzar jaane par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close