kya aise kam-sukhan se koi guftugu kare jo mustaqil sukut se dil ko lahu kare ab to hamein bhi tark-e-marasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aaghaz tu kare tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi khud ko ganwa ke kaun teri justuju kare ab to ye aarzu hai ki wo zakhm khaiye ta-zindagi ye dil na koi aarzu kare tujh ko bhula ke dil hai wo sharminda-e-nazar ab koi hadsa hi tere ru-ba-ru kare chup-chap apni aag mein jalte raho 'faraaz' duniya to arz-e-haal se be-abru kare