zahid ke dil mein but hai musalman nahin raha ye barahman hai sahab-e-iman nahin raha malte hain hath yas se dast-e-junun mere afsos koi tar-e-gareban nahin raha sad-shukr apne sath dil us ko bhi le gaya jo chhedta tha hum ko wo arman nahin raha taswir-e-yar mujh ko tasawwur bana chuka par shukr hai khuda ka pareshan nahin raha pahuncha diya saba ne use ku-e-yar mein apna ghubar be-sar-o-saman nahin raha lab-basta dafatan jo hua zakhm-e-dil mera dilbar ke khwan ka wo namak-dan nahin raha insaniyat hai jis mein dila hai wo aadmi haiwaniyat hai jis mein wo insan nahin raha ifsha ye raaz-e-ishq hua meri aah se jis ko chhupa rahe the wo pinhan nahin raha aashiq ki turbaton ko mita kar ye kah diya lo ab nishan-e-gor-e-ghariban nahin raha apni sada suna ke har ek yan se chal basa gulshan mein koi murgh-e-khush-ilhan nahin raha jo qaidi-e-mehan the 'jamila' wo chal base zindan mein koi sahab-e-zindan nahin raha