kya bataun kaisi thi dil ki kaifiyat meri

kya bataun kaisi thi dil ki kaifiyat meri
us ne muskura kar jab puchhi zaujiyat meri

puchhta hai jab mujh se wo salahiyat meri
kis qadar tadapti hai phir ye ahliyat meri

yun mujhe basae ho dil mein ek muddat se
kash tum bata sakte sab ko shahriyat meri

dur tum se jaane ka ek ye faeda hoga
kuchh samajh to aaegi tum ko ahmiyat meri

ye bhi khush-nasibi hai jo ki likkhi jati hai
warison ke khane mein ab bhi waldiyat meri

ghair ka hai tu lekin phir bhi mutmain hun main
kuchh hasin lamhe hain kyunki milkiyat meri

nam sab ka ginti hun dosto ke main apne
jab bhi puchh leta hai koi haisiyat meri

jaan is pe deti hun mulk hai ye mera bhi
phir bhi puchhte ho tum mujh se qaumiyat meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close