kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein in dinon koi bahut sakht khafa hai mujh mein us ki khush-bu kahin atraf mein phaili hui hai subh se raqs-kunan baad-e-saba hai mujh mein teri surat mein tujhe dhund raha hun main bhi ghaaliban tu bhi mujhe dhund raha hai mujh mein ek hi samt har ek khwab chala jata hai yaad hai ya koi naqsh-e-kaf-e-pa hai mujh mein meri be-rah-rawi is liye sarshaar si hai mere haq mein koi masruf-e-dua hai mujh mein apni sanson ki kasafat se guman hota hai koi imkan abhi khak hua hai mujh mein ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai aisa lagta hai ki kuchh tut gaya hai mujh mein ya to main khud hi rihai ke liye hun be-tab ya giraftar koi mere siwa hai mujh mein aaina is ki gawahi nahin deta to na de wo ye kahta hai koi khas ada hai mujh mein ho gai dil se teri yaad bhi rukhsat shayad aah-o-zari ka abhi shor utha hai mujh mein mujh mein aabaad hain ek sath adam aur wajud hast se bar-sar-e-paikar fana hai mujh mein majlis-e-sham-e-ghariban hai bapa chaar pahr mustaqil bas abhi mahaul-e-aza hai mujh mein ho gai shaq to bil-akhir ye ana ki diwar apni jaanib koi darwaza khula hai mujh mein khun bahata hua zanjir-zani karta hua koi pagal hai jo behaal hua hai mujh mein us ki khush-bu se moattar hai mera sara wajud tere chhune se jo ek phul khila hai mujh mein mujh sa be-maya kahan aur kahan zom-e-kalam ai mere rabb-e-sukhan teri ata hai mujh mein tere jaane se yahan kuchh nahin badla maslan tera bakhsha hua har zakhm hara hai mujh mein kaise mil jati hai aawaz-e-azan se har subh raat bhar gunjne wali jo sada hai mujh mein kitni sadiyon se use dhund rahe ho ba-sud aao ab meri taraf aao khuda hai mujh mein mujh mein jannat bhi meri aur jahannam bhi mera jari-o-sari jaza aur saza hai mujh mein raushni aise dhadakte to na dekhi thi kabhi ye jo rah rah ke chamakta hai ye kya hai mujh mein