wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai sine ki kasak kis tarah mite har dagh-e-kuhan taza hi to hai tu sath kahan lekin ab tak har rahguzar-e-tanhai par jo aage aage chalta hai ai dost koi tujh sa hi to hai is tair-e-awara ke liye yun jal na bun ummidon ke udta hua lamha jaise abhi roke se tere rukta hi to hai malum nahin kis waqt ye kya bartaw kisi se karti hai duniya se koi ummid na rakh mayus na ho duniya hi to hai kirnen nae din ke suraj ki phailengi to gum ho jaega tarik hai jis se dil ka ufuq guzri shab ka saya hi to hai lamhon ke hujum-e-gurezan mein ek lamha jise apna kahiye jaan de ke bhi hath aa jae agar mahnga kab hai sasta hi to hai 'makhmur' taaqub kar dekho kuchh dur nahin hath aa jae ek gum-shuda khushbu ka jhonka aangan se abhi guzra hi to hai