mehndi panw mein kya lagana tha ye na aane ka ek bahana tha zikr-e-gul aap ki kahani thi haal-e-bulbul mera fasana tha mar ke jannat mein mera ji na laga us ka kucha bahut suhana tha jis taraf main gaya yahi dekha mera qissa mera fasana tha naza ke waqt mere pas unhen do ghadi ke liye to aana tha phir kar aaya gaya na ek se bhi kucha-e-yar kya suhana tha aadmi bhej kar bulate the kahiye wo kaun sa zamana tha khud main aaya to aap kahte hain be-bulae tumhein na aana tha sham tak to 'haqir' achchhe the maut kahe ko thi bahana tha