mere dil se dil ko mila kar to dekho mohabbat ki duniya basa kar to dekho dar-e-astan par khada hun main kab se zara rukh se parda hata kar to dekho abhi tak to mujh se rahe ho khafa tum magar ab zara muskura kar to dekho bujhaoge jitne wo bhadkenge utne mohabbat ke shoale bujha kar to dekho ye baad-e-mukhalif na gul kar sakegi charagh-e-mohabbat jala kar to dekho katega safar ye salamat-rawi se mujhe rahbar tum bana kar to dekho karamat to apni dikhao zara tum mujhe apna jaisa bana kar to dekho sunenge yaqinan wo afsana-e-gham 'aziz' un ko dil se suna kar to dekho kabhi dil se apna samajh kar zara tum 'aziz' apna mujh ko bana kar to dekho