maut se aage soch ke aana phir ji lena chhoti chhoti baaton mein dilchaspi lena narm nazar se chhuna manzar ki sakhti ko tund hawa se chehre ki shadabi lena jazbon ke do ghunt aqidon ke do luqme aage soch ka sahra hai kuchh kha pi lena mahnge saste dam hazaron nam ye jiwan soch samajh kar chiz koi achchhi si lena aawazon ke shahr se baba kya milna hai apne apne hisse ki khamoshi lena dil par sau rahen kholin inkar ne jis ke 'saz' ab us ka nam tashakkur se hi lena