kya din the we ki yan bhi dil aarmida tha ru-ashiyan tair-e-rang-parida tha qasid jo wan se aaya to sharminda main hua bechaara girya-nak gareban darida tha ek waqt hum ko tha sar-e-girya ki dasht mein jo khar khushk tha sau wo tufan rasida tha jis said-gah-e-ishq mein yaron ka ji gaya marg us shikar-gah ka shikar ramida tha kori chashm kyun na ziyarat ko us ki aae yusuf sa jis ko madd-e-nazar nur-dida tha afsos marg sabr hai is waste ki wo gul-ha-e-bagh ishrat-e-duniya nachida tha mat puchh kis tarah se kati raat hijr ki har nala meri jaan ko tegh kashida tha hasil na puchh gulshan-e-mashhad ka bul-hawas yan phal har ek darakht ka halq-e-burida tha dil-e-be-qarar girya-e-khunin tha raat 'mir' aaya nazar to bismil dar-e-khun tapida tha