nigah-e-khishmagin mein pyar ki ziya kar ke hum aazmae gae arz-e-muddaa karke nai umid nae gham se aashna karke guzar gai shab-e-hijran khuda khuda karke junun ke sath bhi kuchh dur hum ko chalne do khirad ko dekh liya hum ne rahnuma karke harif-e-amn-o-aman ka yahi hai mansuba ki fard fard ko rakh de yahan juda karke mizaj ahl-e-siyasat ke jab badalne lage qadam tumhein bhi uthana hai faisla karke ye silsila to sataish ka khub hai lekin mita na de kahin maghrur-e-irtiqa karke ghurur-e-jah-o-hasham ne tamam umr hamein kahin ka rakkha na aawara-e-ana karke kisi gharib ko dekho na tum hiqarat se jo ho sake to guzar jao kuchh bhala karke wahi fasana-e-fikr-e-maash hai ab bhi hum intiha ko taraste hain ibtida karke qadam usi ka waqar-e-hayat chume hai pasheman hota hai jo aadmi khata karke hai ab bhi waqt sanbhal jao ai 'tarab' warna zamana tum ko na rakh de kahin fana karke