munawwar ho ke kitni dastan-e-ashiqi aai jahan tak zikr-e-gham aaya nazar mein raushni aai teri ek ek nazar le kar payam-e-zindagi aai meri jaanib se lekin kab mohabbat mein kami aai jabin-e-shauq mein jab koi shan-e-kafiri aai to istiqbaal karne har qadam par bandagi aai ye jaan-e-ashiqi hai is ko kis dil se juda kar dun na jaane kitne gham sah kar to mujh tak bekasi aai zahe qismat ki us ko dard-e-mahrumi pasand aaya mohabbat aish-e-do-alam ko thukraati hui aai ye aalam hai to phir zabt-e-mohabbat se bhi kya hasil zaban par un ka nam aaya ki aankhon mein nami aai kisi surat mein ho ye dil ki nisbat chhup nahin sakti mere rone pe aakhir ek tumhin ko kyon hansi aai