kya ghazab hai ki mulaqat ka imkan bhi nahin aur ab us ko bhulana koi aasan bhi nahin kise dekhun kise aankhon se lagaun ai dil ru-e-taban bhi nahin zulf-e-pareshan bhi nahin aur hain aaj thikane tere diwanon ke koh-o-sahra bhi nahin dasht-o-bayaban bhi nahin jaane kya baat hai sab ahl-e-junun hain khamosh aaj wo silsila-e-chaak-e-gareban bhi nahin gham-e-pinhan nazar aata hai mujhe dushman-e-jaan hae ye dard ki jis ka koi darman bhi nahin kaun jaane mera anjam sahar tak kya ho aaj koi dil-e-bimar ka pursan bhi nahin hae ye ghar ki ab is mein nahin basta koi haif ye dil ki ab is mein koi arman bhi nahin uf ye tanhai ye wahshat ye sukut-e-shab-e-tar aur shabistan mein koi sham-e-farozan bhi nahin sath us gul ke gaya dil se gulistan ka khayal ab mujhe aarzu-e-fasl-e-bahaaran bhi nahin