naya lahja ghazal ka misra-e-sani mein rakkha hai hua ko mutthiyon mein aag ko pani mein rakkha hai na jaane kya samajh kar chakh liya tha dana-e-gandum abhi ek bhul ne ab tak pashemani mein rakkha hai watan se dur hun mein rizq ki khatir mere maula magar basti ko teri hi nigahbani mein rakkha hai safar mein bhi daramai anasir kaam aae hain zaban ki chashni se sab ko hairani mein rakkha hai ghazal kahne ka mausam 'qasmi' ab ho gaya rukhsat sukun-e-qalb to us ki sana-khwani mein rakkha hai mohazzab shahr ke lambe safar se lut aaya hun saliqa zindagi ka ghar ki virani mein rakkha hai