tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya main ne ye kis hairat mein aaina kushada kar liya main ne mujhe pechida jazbon ki kahani nazm karna thi so jitna ho saka uslub sada kar liya main ne mohabbat ka suna tha zat ki takmil karti hai magar is aarzu mein khud ko aadha kar liya main ne shikast-e-khwab par hi khwab ki buniyaad rakhna thi dar-e-imkan phir se istada kar liya main ne nai rut mein mohabbat ka iada chahta tha wo purane tajarbe se istifada kar liya main ne sar-e-sahil mujhe pichhe se ab aawaz mat dena yahan se par jaane ka irada kar liya main ne