kya hota hai khizan bahaar ke aane jaane se sab mausam hain dil khilne aur dil murjhane se ek diya kab rok saka hai raat ko aane se lekin dil kuchh sambhla to ek diya jalane se jo phulon aur kanton ki pahchan nahin rakhta phul nahin rukte ghar us ka bhi mahkane se jalte nazar nahin aae aur jal kar khak hue dur ka rishta apna bhi nikla parwane se kachchi umr mein aur sawan mein kaise baz aaen aankhen jagmag karne se aanchal lahrane se kitna achchha lagta hai ek aam sa chehra bhi sirf mohabbat-bhara tabassum lab par lane se gae dinon mein rona bhi to kitna sachcha tha dil halka ho jata tha jab ashk bahane se bhigi raat ka sannata karta hai wahi baaten zakhm hare hote hain jo baaten yaad aane se