zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai har ghadi hota hai ehsas kahin kuchh kam hai ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai bichhde logon se mulaqat kabhi phir hogi dil mein ummid to kafi hai yaqin kuchh kam hai ab jidhar dekhiye lagta hai ki is duniya mein kahin kuchh chiz ziyaada hai kahin kuchh kam hai aaj bhi hai teri duri hi udasi ka sabab ye alag baat ki pahli si nahin kuchh kam hai