paya jab se zakhm kisi ko khone ka sikha fan hum ne be-ansu rone ka badon ne us ko chhin liya hai bachchon se khabar nahin ab kya ho haal khilaune ka ham-safaron se tark-e-safar ko kahta hun dar hai rah mein aisi baaten hone ka ro dena bhi majburi to hai lekin lutf alag hai dil mein aansu bone ka mithe khwab bhi hum dekhen gar mausam ho lambi gahri mithi ninden sone ka mere liye kya mere dam-e-akhir tak hai khel ye sara hone aur na hone ka