kya hua husn hai ham-safar ya nahin ishq manzil hi manzil hai rasta nahin do parinde ude aankh nam ho gai aaj samjha ki main tujh ko bhula nahin tark-e-mai ko abhi din hi kitne hue kuchh kaha mai ko zahid to achchha nahin har nazar meri ban jati zanjir-e-pa us ne jate hue mud ke dekha nahin chhod bhi de mera sath ai zindagi mujh ko tujh se nadamat hai shikwa nahin tu ne tauba to kar li magar ai 'khumar' tujh ko rahmat pe shayad bharosa nahin